اردو हिंदी
Jigar se jaan se pyare kahan hai kuchh to bata | Shaahi Shayari
jigar se jaan se pyare kahan hai kuchh to bata

Ghazal

Jigar se jaan se pyare kahan hai kuchh to bata

Rais Siddiqui

;

jigar se jaan se pyare kahan hai kuchh to bata
har ek dil ke sahaare kahan hai kuchh to bata

teri talash mein khoi hui hai chashm-e-falak
zamin ke raj-dulare kahan hai kuchh to bata

masarraton se tha labrez dil ka paimana
meri KHushi ke sahaare kahan hai kuchh to bata

jo tu nahin hai to phaili hui hai tariki
mere chamakte sitare kahan hai kuchh to bata

dil-e-'rais' ko hai kaif-e-zindagi ki talash
hayat-e-nau ke ishaare kahan hai kuchh to bata