jigar aur dil ko bachana bhi hai
nazar aap hi se milana bhi hai
mohabbat ka har bhed pana bhi hai
magar apna daman bachana bhi hai
jo dil tere gham ka nishana bhi hai
qatil-e-jafa-e-zamana bhi hai
ye bijli chamakti hai kyun dam-ba-dam
chaman mein koi aashiyana bhi hai
KHirad ki itaat zaruri sahi
yahi to junun ka zamana bhi hai
na duniya na uqba kahan jaiye
kahin ahl-e-dil ka Thikana bhi hai
mujhe aaj sahil pe rone bhi do
ki tufan mein muskurana bhi hai
zamane se aage to baDhiye 'majaz'
zamane ko aage baDhana bhi hai
Ghazal
Jigar aur dil ko bachana bhi hai
Asrar-ul-Haq Majaz