اردو हिंदी
JhaTak ke chal nahin sakta hun tere dhyan ko main | Shaahi Shayari
jhaTak ke chal nahin sakta hun tere dhyan ko main

Ghazal

JhaTak ke chal nahin sakta hun tere dhyan ko main

Mohammad Saleem Tahir

;

jhaTak ke chal nahin sakta hun tere dhyan ko main
uThae phirta hun sar par ek aasman ko main

main tujh se apna talluq chhupa nahin sakta
jabin se kaise miTa dun tere nishan ko main

ye log mujh se udasi ki wajh puchhte hain
bata chuka hun tera nam ek jahan ko main

jo ahd kar ke har ek ahd toD Dalta hai
zaban dunga bhala aise be-zaban ko main

main fath kar ke koi qila kya karunga 'salim'
lo aaj toDta hun tir ko kaman ko main