اردو हिंदी
Jazbe mein suluk aur nafi mein hai jo isbaat | Shaahi Shayari
jazbe mein suluk aur nafi mein hai jo isbaat

Ghazal

Jazbe mein suluk aur nafi mein hai jo isbaat

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

jazbe mein suluk aur nafi mein hai jo isbaat
ai salik-e-majzub ye hai sair-e-maqamat

tajdid-e-misali mein hai tafrid-e-mujarrad
tauhid hai ye aur hain be-sarfa KHayalat

be-rang mein nairang hai wahdat mein hai kasrat
aadad hon afrad jo ho tark-e-izafat

KHalwat mein hua jalwa safar mein bhi watan hai
aafaq mein anfus hai ulul-azm-e-kamalat

aaghaz mein anjam hai farjam mein aaram
ai salik-e-shattar bidayat nihayat

tafriq mein hai jama tajalli mein hua sitr
tahqiq mein tarif hai taqlid-e-hikayat

masturi mein masti hai yahan sahw mein hai mahw
ai saqi-e-shorida-o-uriyan-e-KHarabaat