jazb kuchh titliyon ke par mein hai
kaisi KHushbu si us color mein hai
aane wala hai koi sahra kya
gard hi gard rahguzar mein hai
jab se dekha hai KHwab mein us ko
dil musalsal kisi safar mein hai
chhu ke gaDi baghal se kya guzri
be-KHayali si ek nazar mein hai
main bhi bikhra hua hun apnon mein
wo bhi tanha sa apne ghar mein hai
raat tum yaad bhi nahin aae
phir udasi si kyun sahar mein hai
us ki KHamoshi gunjti hogi
shor barpa jo dil-khanDar mein hai
hath sar par wo shaKHen rakhti hain
koi apna sa us shajar mein hai
Ghazal
Jazb kuchh titliyon ke par mein hai
Alok Mishra