jaur-e-zamin na tha sitam-e-asman na tha
wo bhi tha waqt jab ki gham-e-do-jahan na tha
koi bhi lutf-e-zist tah-e-asman na tha
duniya meri KHarab thi tu mehrban na tha
sunta ye kaun zabt pe qabu nahin hai ab
achchha hua jo koi mera raaz-dan na tha
diwangi ne baat bana di ki us se main
zid kar raha hun ab ki ye mera bayan na tha
badnam KHud hue ho zaban se nikal kar
mera siwa tumhaare koi raaz-dan na tha
sajdon ki dad mil gai bab-e-qubul se
mana nazar ke samne wo aastan na tha
mayusi-e-nazar ke manazir hain KHaufnak
phir aap hi kahenge mujhe ye guman na tha
wo mere samne the main tha un ke samne
jab tak ki mera raaz kisi par ayan na tha
lillah hum se qissa-e-'alim' na puchhiye
sunte hain lash par koi bhi nauha-KHwan na tha
Ghazal
Jaur-e-zamin na tha sitam-e-asman na tha
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi