jatate rahte hain ye hadse zamane ke
ki tinke jama karen phir na aashiyane ke
sabab ye hote hain har subh bagh jaane ke
sabaq paDhate hain kaliyon ko muskurane ke
hazaron ishq-e-junun-KHez ke bane qisse
waraq hue jo pareshan mere fasane ke
hain e'tibar se kitne gire hue dekha
isi zamane mein qisse isi zamane ke
qarar-e-jalwa-numai hua hai farda par
ye tul dekhiye ek muKHtasar zamane ke
na phul murgh-e-chaman apni KHush-nawai par
jawab hain mere nale tere tarane ke
usi ki KHak hai mathe ki zeb banda-nawaz
jabin pe naqsh paDe hain jis aastane ke
Ghazal
Jatate rahte hain ye hadse zamane ke
Saail Dehlvi