jasarat ke rahte bhi KHamosh hona
hai is ke siwa kya sitam-posh hona
pareshan nahin tohmaton se main lekin
giran hai tumhaara ye KHamosh hona
mohabbat mein ilzam lagne do yaro
wafa mein hai jaez KHata-posh hona
wahi ek qad-awar jo tashhir mein tha
pur-asrar hai us ka ru-posh hona
meri chahaton ko hawa de gaya hai
un aankhon ka wada-faramosh hona
palak tak kabhi ek qatra na pahuncha
hai aankhon ki qismat bala-nosh hona
sitam hai bala hai qayamat hai goya
bichhaDne se pahle ham-aghosh hona
Ghazal
Jasarat ke rahte bhi KHamosh hona
Pawan Kumar