اردو हिंदी
Jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein | Shaahi Shayari
jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein

Ghazal

Jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein

Anwar Saharanpuri

;

jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein
sajde chamak chamak uThe mere sar-e-niyaz mein

jalwa-e-did mein teri shola-e-tur tha nihan
aag si aur lag gai mere dil-e-gudaz mein

shauq ne khich li mere yar ki jab naqab-e-ruKH
husn ki raushni hui jalwa-gah-e-majaz mein

ishq ki be-hijabiyan husn ki parda-dariyan
hone lagi talashiyan naz mein aur niyaz mein

dil mein liya adaon ne sabr-o-qarar bhi liya
luT gaya ghar bhara hua jumbish-e-chashm-e-naz mein

meri nazar ke milte hi un ki nigah jhuk gai
dil ko jawab mil gaya chashm-e-fusun-taraaz mein

sehr wo hi kashish wo hi masti-o-be-KHudi wo hi
teri nazar sama gai nargis-e-nim-baz mein

panw figar mein to hon dil to nahin figar-e-gham
koi sanam nahin na ho dasht-e-junun-nawaz mein

jalwa-e-yar dekh kar tur pe ghash hue kalim
aql-o-KHirad ka kaam kya mahfil-e-husn-o-naz mein

kar le KHuda ki bandagi 'anwar'-e-KHasta-dil zara
bhul na apne rab ko tu nafs ki hirs-o-az mein