اردو हिंदी
Jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab | Shaahi Shayari
jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab

Ghazal

Jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab

Haneef Sajid

;

jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab
raushni se likh raha hun zindagani ka nisab

pattharon se kab talak bandhegi ummid-e-wafa
zindagi dekhegi kab tak jagti aankhon se KHwab

kya KHabar wo kaun hain roz-e-jaza ke muntazir
chashm-e-bina ke liye har roz hai roz-e-hisab

KHak zinda gar kare husn-e-azal ki aarzu
darmiyan rahta nahin phir koi bhi tar-e-hijab

jaante hain wo husul-e-maya ki har ek sabil
hifz hain sajjadgan ko KHanqahi ke nisab

inqalab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil
pattharon ko de rahe hain aaine khul kar jawab