jalti rahna sham-e-hayat
phir na milegi aisi raat
kah to gai wo nichi nigah
raaz hi rakhna raaz-e-hayat
hum kuchh samjhe wo kuchh aur
KHamoshi mein baDh gai baat
kis ko sunaen puchhe kaun
aah-e-nim-shabi ki baat
ruh ke munkir jism-parast
sahl nahin irfan-e-hayat
uf ye dast-e-talab aur hum
sab hai waqt paDe ki baat
daman se ab munh na chhupa
ja bhi chuki ashkon ki baraat
jis ne na pai apni panah
kya dega auron ko najat
sher wahi hai jis mein 'siraj'
KHud taDpe ruh-e-jazbaat
Ghazal
Jalti rahna sham-e-hayat
Siraj Lakhnavi