اردو हिंदी
Jaise subh ko suraj nikle sham Dhale chhup jae hai | Shaahi Shayari
jaise subh ko suraj nikle sham Dhale chhup jae hai

Ghazal

Jaise subh ko suraj nikle sham Dhale chhup jae hai

Shafiq Dehlvi

;

jaise subh ko suraj nikle sham Dhale chhup jae hai
tum bhi musafir main bhi musafir duniya ek sarae hai

raaz-e-KHudi hai ye farzano behtar hai ye raaz na jaano
jo KHud ko pahchane hai wo diwana kahlae hai

fahm-o-KHirad se josh-e-junun tak har manzil se guzre hain
hum to diwane hain bhai hum ko kya samjhae hai

hijr ki shab yun thapak thapak kar mujh ko sulae teri yaad
jaise man ki lori sun kar ek bachcha so jae hai

jab se tum ne aankhen pherin sab ne hi munh pher liya
hae shab-e-hijran kya kahiye shabnam aag lagae hai

koi mujh se mujhe mila de mujh ko hai apni hi talash
basti basti ye diwana kaisa shor machae hai

jis ne sab ke gham banTe hain hum wo diwane hain 'shafiq'
ye wo daur hai jis mein har ek apni aag bujhae hai