اردو हिंदी
Jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha | Shaahi Shayari
jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha

Ghazal

Jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha

Mazhar Imam

;

jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha
kya log the andesha-e-farda bhi nahin tha

wo kaise musafir the ki be-zad-e-safar the
sine pe koi bar-e-tamanna bhi nahin tha

kyun log mazaron pe dua mang rahe the
mujh par kisi aaseb ka saya bhi nahin tha

kis bagh-e-tilismat mein gum ho gain aankhen
main ne teri jaanib abhi dekha bhi nahin tha

kyun taza hawa ka koi jhonka nahin aaya
ehsas ke dar par koi parda bhi nahin tha

nashsha dar-e-gandum ka hiran hone se pahle
jannat se nikalna hai ye socha bhi nahin tha

girti hui diwar ko sab dekh rahe the
is shahr mein kuchh aur tamasha bhi nahin tha

na-karda-gunahi ki saza de mujhe ya-rab
jo kaam kiya main ne wo achchha bhi nahin tha