jaise hi chashm-e-rawaq se gir gaya
jagmagata diya taq se gir gaya
ek laghzish se donon hi ruswa hue
wo nazar se main aafaq se gir gaya
sher kahne ko likkha tha main ne abhi
ek mazmun auraq se gir gaya
us ki nazron se main kya gira ek bar
yun laga jaise aafaq se gir gaya
ek beTa takabbur ke aakash se
bap ke lafz ek aaq se gir gaya
tirgi jab na miT pai sukha diya
TimTimata hua taq se gir gaya
tamkanat ke sabab ek amir-ul-muluk
yaad rakh chashm-e-KHallaq se gir gaya

Ghazal
Jaise hi chashm-e-rawaq se gir gaya
athar shakeel