اردو हिंदी
Jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum | Shaahi Shayari
jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum

Ghazal

Jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum

Faiz Ahmad Faiz

;

jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum
raat milte rahe apne dar-o-diwar se hum

sarKHushi mein yunhi dil-shad o ghazal-KHwan guzre
ku-e-qatil se kabhi kucha-e-dildar se hum

kabhi manzil kabhi raste ne hamein sath diya
har qadam uljhe rahe qafila-salar se hum

hum se be-bahra hui ab jaras-e-gul ki sada
warna waqif the har ek rang ki jhankar se hum

'faiz' jab chaha jo kuchh chaha sada mang liya
hath phaila ke dil-e-be-zar-o-dinar se hum