jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main
tum ne puchha to hota batla sakta tha main
aasuda rahne ki KHwahish mar gai warna
aage aur bahut aage tak ja sakta tha main
chhoTi-moTi ek lahar hi thi mere andar
ek lahar se kya tufan uTha sakta tha main
kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher
is punji par kitna shor macha sakta tha main
jaise sab likhte rahte hain ghazlen nazmen git
waise likh likh kar ambar laga sakta tha main
Ghazal
Jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main
Iftikhar Arif