jaisa chaha waisa manzar dekha hai
yani hum ne apne andar dekha hai
un aankhon ko dekhne wale kahte hain
is duniya ko hum ne behtar dekha hai
jaane wale tujh ko itna yaad rahe
hum ne tera hath pakaD kar dekha hai
teri kaise ban jati hai duniya se
main ne apna aap badal kar dekha hai
Ghazal
Jaisa chaha waisa manzar dekha hai
Rana Amir Liyaqat

