jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
meri tarah se akela dikhai deta hai
na itni tez chale sar-phiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhai deta hai
bura na maniye logon ki aib-jui ka
unhen to din ka bhi saya dikhai deta hai
ye ek abr ka TukDa kahan kahan barse
tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
wahin pahunch ke giraenge baadban ab to
wo dur koi jazira dikhai deta hai
wo alwidaa ka manzar wo bhigti palken
pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai
meri nigah se chhup kar kahan rahega koi
ki ab to sang bhi shisha dikhai deta hai
simaT ke rah gae aaKHir pahaD se qad bhi
zamin se har koi uncha dikhai deta hai
khili hai dil mein kisi ke badan ki dhup 'shakeb'
har ek phul sunahra dikhai deta hai
Ghazal
Jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
Shakeb Jalali