jahan tak gaya karwan-e-KHayal
na tha kuchh ba-juz hasrat-e-paemal
mujhe tera tujh ko hai mera KHayal
magar zindagi phir bhi hai KHasta-haal
jahan tak hai dair o haram ka sawal
rahen chup to mushkil kahen to muhaal
teri kaenat ek hairat-kada
shanasa magar ajnabi KHadd-o-KHal
meri kaenat ek zaKHm-e-kuhan
muqaddar mein jis ke nahin indimal
nai zindagi ke nae makr o fan
nae aadmi ki nai chaal-Dhaal
hue ruKHsat anjum sahar ke qarib
na dekha gaya shayad apna maal
Ghazal
Jahan tak gaya karwan-e-KHayal
Anjum Rumani