jahan na dil ko sukun hai na hai qarar mujhe
ye kis maqam pe le aai yaad-e-yar mujhe
ye baat sach hai main barg-e-KHizan-rasida hun
magar salam kiya karti hai bahaar mujhe
sitam ye hai wo kabhi bhul kar nahin aaya
tamam umr raha jis ka intizar mujhe
bas apne-ap sanwarna bhi koi baat hui
tu apni zulf ki surat kabhi sanwar mujhe
abas hai dosto tashrih-e-wada-e-farda
ab is ka zikr bhi hota hai nagawar mujhe
tamam umr jhulasta raha main sahra mein
kahin shajar nazar aaya na saya-dar mujhe
bahaar-e-nau ye haqiqat hai ya fareb-e-nigah
libas-e-gul nazar aata hai tar tar mujhe
gunah jis se na sarzad hua ho ai 'ajiz'
usi ko haq hai wo kah de gunahgar mujhe
Ghazal
Jahan na dil ko sukun hai na hai qarar mujhe
Ajiz Matvi