jahan mein kaun kah sakta hai tum ko bewafa tum ho
ye thoDi waza-dari hai ki dushman-ashna tum ho
tabahi samne maujud hai gar aashna tum ho
KHuda hafiz hai us kashti ka jis ke naKHuda tum ho
jafa-ju be-murawwat bewafa na-ashna tum ho
magar itni burai par bhi kitne KHush-numa tum ho
bharosa ghair ko hoga tumhaari aashnai ka
tum apni zid pe aa jao to kis ke aashna tum ho
koi dil-shad hota hai koi nashad hota hai
kisi ke muddai tum ho kisi ka muddaa tum ho
'zahir' us ka nahin shikwa na ki gar qadr gardun ne
zamana jaanta hai tum ko jaise KHush-nawa tum ho
Ghazal
Jahan mein kaun kah sakta hai tumko bewafa tum ho
Zaheer Dehlvi