jahan mein hum jise bhi pyar ke qabil samajhte hain
haqiqat mein usi ko zist ka hasil samajhte hain
mila karta hai dast-e-ghaib se maKHsus bandon ko
kisi ke dard ko hum kaenat-e-dil samajhte hain
jinhen shauq-e-talab ne quwwat-e-bazu ata ki hai
talatum-KHez tughyani ko wo sahil samajhte hain
sitam aise kiye tamsil jin ki mil nahin sakti
magar wo is jafa ko awwalin manzil samajhte hain
mohabbat lafz to sada sa hai lekin 'aziz' is ko
mata-e-dil samajhte the mata-e-dil samajhte hain
Ghazal
Jahan mein hum jise bhi pyar ke qabil samajhte hain
Aziz Warsi