jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai
bashar mein abhi aadamiyat nahin hai
takalluf agar hai haqiqat nahin hai
tasanno zaban-e-mohabbat nahin hai
zaruri ho jis ke liye ek dozaKH
wo mere tasawwur ki jannat nahin hai
mere dil mein ek to hai tujh se hasin-tar
mujhe ab teri kuchh zarurat nahin hai
mohabbat yaqinan KHilaf-e-KHirzad hai
magar aql hi ek haqiqat nahin hai
use ek betabi-e-shauq samjho
taghaful ka shikwa shikayat nahin hai
mujhe kar ke chup koi kahta hai hans kar
unhen baat karne ki aadat nahin hai
kabhi ho sakega na 'mulla' ka iman
jis iman mein dil ki nubuwwat nahin hai
Ghazal
Jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai
Anand Narayan Mulla