اردو हिंदी
Jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae | Shaahi Shayari
jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae

Ghazal

Jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae

Andaleeb Shadani

;

jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae
azab-e-jawedani zindagi hai

rulati hai mujhe kyun chandni-raat
yahi ek raaz meri zindagi hai

KHalish ho dard ho kahish ho kuchh ho
faqat jina bhi koi zindagi hai

halak-anjam takmil-e-tamanna
baqa-e-arzu hi zindagi hai

jigar mein Tis lab hansne pe majbur
kuchh aisi hi hamari zindagi hai

wo chahe jis qadar bhi muKHtasar ho
mohabbat ki jawani zindagi hai

umid mar chukin main ji raha hun
ajab be-aKHtyari zindagi hai

jawani aur hangamon se KHali
ye jina hai ye koi zindagi hai

guzari thin KHushi ki chand ghaDiyan
unhin ki yaad meri zindagi hai

mohabbat donon jaanib se mohabbat
na puchho aah kaisi zindagi hai