jafa pe shukr ka ummid-war kyun aaya
meri wafa ka use e'tibar kyun aaya
ye dil ki baat hi munh se ada nahin hoti
main kya kahun ki yahan bar bar kyun aaya
KHayal-e-pursish-e-mahshar se wo hua maghmum
nazar ke samne mera mazar kyun aaya
kahan wo hath main paun hasin laDkon ke
saDi nahin to su-e-kohsar kyun aaya
taDap thi mar ke bhi mayyat pe shayad aaya wo
nahin ye baat to dil ko qarar kyun aaya
hua main KHak to wo laD raha hai aandhi se
ki tere sath mere ghar ghubar kyun aaya
wo intizar ki lazzat bhi le gaya ai 'shauq'
hawa ke ghoDe pe zalim sawar kyun aaya

Ghazal
Jafa pe shukr ka ummid-war kyun aaya
shauq Qidvai