jafa mein nam nikalo na aasman ki tarah
khulengi lakh zabanen meri zaban ki tarah
fareb-e-asar ko koi de meri fughan ki tarah
tarashti hai ye fiqre teri zaban ki tarah
ye kis ki saya-e-diwar ne mujhe pisa
ye kaun TuT paDa mujh pe aasman ki tarah
zarur Dhaenge aafat kuchh un ke nawak-e-naz
chaDhe hain gosha-e-abru kaDi kaman ki tarah
rah-e-hayat kaTi is tarah ki uTh uTh kar
main baiTh baiTh gaya gard-e-karwan ki tarah
ba-rang-e-tair-e-bu main hun ghuncha-o-gul hain
mere qafas ki tarah mere aashiyan ki tarah
na tere dar se haTe teri Thokaren kha kar
wahin jame rahe hum sang-e-astan ki tarah
hamein hai ghar se talluq ab is qadar baqi
kabhi jo aae to do din ko mehman ki tarah
gaya chaman ko to jhuk kar bahut milin shaKHen
liya gulon ne mujhe mere aashiyan ki tarah
bala hai ye koi thoDa na jaane paikan ko
lahu piyega hamara gham-e-nihan ki tarah
zara si jaan ko lakhon tarah ke khaTke hain
chaman na lae kahin rang aasman ki tarah
main aaun aap ke ghar kya mujhe Daraate hain
adu ke naqsh-e-qadam chashm-e-qadam chashm-e-pasban ki tarah
sharik-e-dard to kya bais-e-aziyyat hain
wo log jin se talluq tha jism o jaan ki tarah
tumhein bhi degi maza kuchh meri musibat-e-ishq
kahin kahin se suno us ko dastan ki tarah
rahe kabhi na ilahi mera qafas KHali
ki mujh ko chain mila us mein aashiyan ki tarah
mujhe shabab ne mara bala-e-jaan ho kar
bahaar aai mere bagh mein KHizan ki tarah
qafas mein luT liye kaun se maze main ne
dikhae aankh ne sayyaad baghban ki tarah
kisi ko chain na qatil ki shoKHiyon se mila
mare hue bhi taDapte hain nim-jaan ki tarah
teri uThan taraqqi kare qayamat ki
tera shabab baDhe umr-e-jawedan ki tarah
jau apne ghar koi aa le to kaun de taklif
sitare kaun wo baiThe hain mehman ki tarah
'riyaz' maut hai is shart se hamein manzur
zamin satae na marne par aasman ki tarah
Ghazal
Jafa mein nam nikalo na aasman ki tarah
Riyaz Khairabadi