jafa-e-ahd ka ilzam ulaT bhi sakta hun
use yaqin na tha main palaT bhi sakta hun
main apne ishq mein shahin mizaj rakhta hun
palaT to jata hun lekin jhapaT bhi sakta hun
junun mein zulm ki gardan utar leta hun
to ek nigah-e-mohabbat mein kaT bhi sakta hun
adu-e-shahr main barud hun mohabbat ka
hadon se baat baDhegi to phaT bhi sakta hun
bisat-e-arz pe chahun to phail jaun main
ho ramz-e-yar to dil mein simaT bhi sakta hun
Ghazal
Jafa-e-ahd ka ilzam ulaT bhi sakta hun
Naeem Zarrar Ahmad