jab yaad aaya tera mahakta badan mujhe
bahla saki na bu-e-gul-o-yasman mujhe
saDkon pe jo phiraate the be-pairahan mujhe
ab dene aae hain wo mere ghar kafan mujhe
ahl-e-KHirad ke sae se ye dhup hi bhali
deta hai mashwara mera diwana-pan mujhe
ek aarzu hai daulat-e-kaunain se siwa
kah kar pukaren log shahid-e-watan mujhe
fikr-e-hayat-o-fikr-e-zamana ke sath sath
fikr-e-habib hai kabhi fikr-e-suKHan mujhe

Ghazal
Jab yaad aaya tera mahakta badan mujhe
Rifat Al-Husaini