jab us ko dekhte rahne se thakne lagta hun
to apne KHwab ki palken jhapakne lagta hun
jise bhi pyas bujhani ho mere pas rahe
kabhi bhi apne labon se chhalakne lagta hun
hawa-e-hijr dikhati hai sabz bagh-e-visal
to bagh-e-wahm mein apne mahakne lagta hun
chhiDakni paDti hai KHud par kisi badan ki aag
main apni aag mein jab bhi dahakne lagta hun
main KHud ko chakh nahin pata ki toD leti hai
mujhe hawa-e-KHizan jab bhi pakne lagta hun
badan ki kan se hire nikalne lagte hain
main apni raat mein aksar chamakne lagta hun
wo ek manzar-e-napaid hai ki jis ke liye
main aankh hone ki KHatir phaDakne lagta hun
parinde bolne lagte hain mujh mein raat gae
to shaKH-e-sher pe main bhi chahakne lagta hun
jo kar-nama kabhi koi mujh se ho jae
to apni piTh main KHud hi thapakne lagta hun
sunane lagta hai ashaar-e-ishq jab 'ehsas'
main us ke samne dil sa dhaDakne lagta hun
Ghazal
Jab usko dekhte rahne se thakne lagta hun
Farhat Ehsas