jab tu mujh se ruTh gaya tha
dil-angan mein sannaTa tha
tu kya jaane tujh se bichhaD kar
main kitne din tak roya tha
sari KHushiyan ruTh gai thin
armanon ne dam toDa tha
rasta rasta nagri nagri
dil tujh ko hi DhunDh raha tha
tanhai ki fasl ugi thi
yaadon ka jangal phaila tha
fikr ke honTon par tale the
ghazlon ka daman suna tha

Ghazal
Jab tu mujhse ruTh gaya tha
Suleman Khumar