jab teri chah mein daman-e-junun chaak hua
phir kahin ja ke mujhe ishq ka idrak hua
yun to ek jaise nazar aate hain chehre lekin
koi KHush-KHwab hua aur koi ghamnak hua
waraq-jaan pe likkhe main ne sahife dil ke
is hawale se bhi main shola-e-be-bak hua
koi mar ke bhi zamane mein amar hota hai
aur koi jite hue bhi jasad-e-KHak hua
jis ki lahron se janam lete hain sandal se badan
us samundar ka ba-sad-shauq main pairak hua
ai 'KHayal' aaina-e-husn-e-mujassam ki qasam
KHak par baiTh ke main sahab-e-aflak hua

Ghazal
Jab teri chah mein daman-e-junun chaak hua
Rafique Khayal