jab tere nain muskuraate hain
zist ke ranj bhul jate hain
kyun shikan Dalte ho mathe par
bhul kar aa gae hain jate hain
kashtiyan yun bhi Dub jati hain
naKHuda kis liye Daraate hain
ek hasin aankh ke ishaare par
qafile rah bhul jate hain
Ghazal
Jab tere nain muskuraate hain
Abdul Hamid Adam