jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai
yani asir-e-naghma meri be-KHudi bhi hai
khilte hain phul jin ke tabassum ke waste
shabnam mein un ke aks ki aazurdagi bhi hai
kuchh saaton ka rang mere sath sath hai
wo nikhat-e-bahaar magar ajnabi bhi hai
zinda hun main ki aag jahannam ki ban sakun
firdaus-e-arzu mere dil ki kali bhi hai
is yaad ka bhanwar mere ehsas mein raha
izhaar-e-mauj mauj ki na-guftani bhi hai
palkon pe chandni ke takallum ki aanch thi
honTon pe guftugu ke liye tishnagi bhi hai
kyun tirgi se is qadar manus hun 'zafar'
ek sham-e-rah-guzar ki sahar tak jali bhi hai
Ghazal
Jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai
Ahmad Zafar