jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega 
is dil ki yurishon ka tasalsul na jaega 
KHemon se ta-furaat jo dariya-e-KHun hai ye 
us par se maslahat ka koi pul na jaega 
us ko guman nahin tha ki ahd-e-KHizan mein bhi 
ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaega 
ye abr-e-agahi jo barasta raha yunhi 
miTTi ka ye wajud mera ghul na jaega 
girta rahega yunhi balaon ka aabshaar 
jab tak ghubar-e-qalb-o-nazar dhul na jaega 
wo shaKHs to KHudai ke dawe pe tul gaya 
is had pe hum samajhte the bilkul na jaega 
bas ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamein 
ye teri be-ruKHi ye tammul na jaega 
'anjum' nigar-e-zist ko phir chahiye wahi 
ek sar jo KHwahishon ke ewaz tul na jaega
        Ghazal
Jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega
Anjum Khaleeq

