jab tabiat sukun se ghabrai
le chala zauq-e-abla-pai
wo hue mail-e-masihai
maut phir zindagi se sharmai
zulf bikhri ki bas ghaTa chhai
ahl-e-taqwa pe ek bala aai
tair-e-arzu ne par tole
sehn-e-dil mein chali hai purwai
muD ke tufan ko barha dekha
nazd-e-sahil jo mauj le aai
kashmakash wo junun-o-hosh mein hai
ban gaya husn bhi tamashai
ruh-o-tan mein azal se nisbat hai
phir bhi hain tishna-e-shanasai
shaiKH ko KHuld-o-hur ka sauda
hae ye lazzaton ki girai
mai-kada ka ye moajiza hai ajib
kufr-o-din mein bhi hai shanasai
shaghl-e-mai fart-e-gham mein kya karte
is mein thi duKHt-e-raz ki ruswai
din ko masjid to shab ko mai-KHana
tujh sa 'farhat' hai kaun harjai

Ghazal
Jab tabiat sukun se ghabrai
Prem Shankar Goila Farhat