اردو हिंदी
Jab se wo kah ke gae hain ki abhi aate hain | Shaahi Shayari
jab se wo kah ke gae hain ki abhi aate hain

Ghazal

Jab se wo kah ke gae hain ki abhi aate hain

Nazeer Banarasi

;

jab se wo kah ke gae hain ki abhi aate hain
koi aata hai samajhta hun wahi aate hain

barg-o-bar aate hain shaKHon mein gul-o-ghuncha bhi
wo jab aate hain chaman mein to sabhi aate hain

apni qismat ka sitara to nahin gardish mein
na KHabar aati hai un ki na wahi aate hain

ishq-e-sadiq ne jhukaya sar-e-husn-e-maghrur
jin ko dawa tha na aane ka wahi aate hain

ashk ban kar kabhi aate hain kabhi ban ke hansi
ab mohabbat mein bahar-shakl wahi aate hain

ab to ek bhiD chala karti hai un ke ham-rah
baat bhi kar nahin sakte jo kabhi aate hain

pine jate hain sar-e-sham 'nazir' ek buzurg
aur kuchh raat Dhale ban ke wali aate hain