jab se tera karam hai banda-nawaz
soz hai soz aur na saz hai saz
main hun aur meri be-par-o-baali
dil hai aur dil ki jurat-e-parwaz
husn ki barhami maaz-allah
gesuon ke bikharne ka andaz
zulf-e-barham jhuki hui nazren
gardan-e-naz mein kamand-e-niyaz
qadd-e-baala o daman-e-kotah
manzil-e-ishq ke nasheb o faraaz
qata hone laga hai rishta-e-zist
ai gham-e-yar teri umr daraaz
Ghazal
Jab se tera karam hai banda-nawaz
Chiragh Hasan Hasrat