jab se dilbar ne aankh phera hai
mujh ko dauran-e-sar ne ghera hai
kucha-e-zulf nit andhera hai
wahan siyah-baKHt dil ka Dera hai
wajd mein hain diwane abr ko dekh
laila-e-fasl-e-gul ka Dera hai
yakka aazad hai do aalam se
jo ki be-dam tera chira hai
gal par hai kisi ke kaT ka naqsh
munh pe zulfen tabhi bikhera hai
nit bake hai ki baola 'uzlat'
ye na bola kabhu ki mera hai
Ghazal
Jab se dilbar ne aankh phera hai
Wali Uzlat