jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui
be-talluq thi jo shai wo bhi bahut pyari hui
chaar sansen thin magar sine ko bojhal kar gain
do qadam ki ye masafat kis qadar bhaari hui
ek manzar hai ki aankhon se sarakta hi nahin
ek saat hai ki sari umr par tari hui
is tarah chaalen badalta hun bisat-e-dahr par
jit lunga jis tarah ye zindagi haari hui
kin tilismi raston mein umr kaTi 'aftab'
jis qadar aasan laga utni hi dushwari hui
Ghazal
Jab safar se lauT kar aane ki tayyari hui
Aftab Hussain