jab raqibon ka sitam yaad aaya
kuchh tumhaara bhi karam yaad aaya
kab hamein hajat-e-parhez paDi
gham na khaya tha ki sam yaad aaya
na likha KHat ki KHat-e-peshani
mujh ko hangam-e-raqam yaad aaya
shola-e-zaKHm se ai said-fagan
dagh-e-ahu-e-haram yaad aaya
Thahre kya dil ki teri shoKHi se
iztirab-e-pa-e-ham yaad aaya
KHubi-e-baKHt ki paiman-e-adu
us ko hangam-e-qasam yaad aaya
khul gai ghair se ulfat us ki
jam-e-mai se mujhe jam yaad aaya
wo mera dil hai ki KHud-binon ko
dekh kar aaina kam yaad aaya
kis liye lutf ki baaten hain phir
kya koi aur sitam yaad aaya
aise KHud-rafta ho ai 'shefta' kyun
kahin us shoKH ka ram yaad aaya
Ghazal
Jab raqibon ka sitam yaad aaya
Shefta Mustafa Khan