jab raat ke sine mein utarna hai to yaro
behtar hai kisi chand ko shishe mein utaro
diwar pighalti hai jhulas jate hain sae
ye dhup nigahon ki bahut tez hai yaro
parchhaiyan pujenge kahan tak ye pujari
apnao koi jism koi rup to dhaaro
KHud ahl-e-qalam is mein kai rang bharenge
tum zehn ke parde pe koi naqsh ubhaaro
tum waqt ki dahliz pe dam toD rahe ho
main bhagta lamha hun mujhe tum na pukaro
haalat ye kahte hain ki tum zinda rahoge
palkon pe larazte hue KHush-baKHt sitaro

Ghazal
Jab raat ke sine mein utarna hai to yaro
Rasheed Qaisrani