jab na jite-ji mere kaam aaegi
kya ye duniya aaqibat baKHshaegi
jab mile do dil muKHil phir kaun hai
baiTh jao KHud haya uTh jaegi
gar yahi hai is gulistan ki hawa
shaKH-e-gul ek roz jhonka khaegi
dagh-e-sauda ek din dega bahaar
fasl is gul ki shagufa laegi
kuchh to hoga hijr mein anjam-e-kar
be-qarari kuchh na kuchh Thahraegi
sandali rangon se mana dil mila
dard sar ki kis ke mathe jaegi
KHaksaron se jo rakkhega ghubar
o falak badli teri ho jaegi
jab karega garmiyan wo shola-ru
sham-e-mahfil dekh kar jal jaegi
jaan nikal jaegi tan se ai 'nasim'
gul ko bu-e-gul hawa batlaegi
Ghazal
Jab na jite-ji mere kaam aaegi
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi