jab muKHalif mera raaz-dan ho gaya
raaz-e-sar-basta sab par ayan ho gaya
mujh ko ehsas-e-sharmindagi hai bahut
qissa-e-dard kaise bayan ho gaya
kitni hasrat se takti rahi har KHushi
aur daman mera dhajjiyan ho gaya
masala ban gai fikr tafhim ka
lafz ka husn bhi raegan ho gaya
log ye soch ke hi pareshan hain
main zamin tha to kyun aasman ho gaya
shikwa-sanjaan-e-tanhai hain sab ke sab
mera gham bhi gham-e-do-jahan ho gaya
peD kya mere aangan ka 'aKHtar' gira
log samjhe ki main be-aman ho gaya
Ghazal
Jab muKhaalif mera raaz-dan ho gaya
Akhtar Shahjahanpuri