اردو हिंदी
Jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui | Shaahi Shayari
jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

Ghazal

Jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

Makhmoor Saeedi

;

jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui
aksar aise mein tere gham se mulaqat hui

aap-apne ko na pahchan sake hum ta-der
un se bichhDe to ajab surat-e-haalat hui

husn se nibh na na saki waz-e-karam aaKHir tak
awwal awwal to mohabbat ki mudaraat hui

roz mai pi hai tumhein yaad kiya hai lekin
aaj tum yaad na aae ye nai baat hui

us ne aawaz mein aawaz mila di thi kabhi
aaj tak KHatm na mausiqi-e-jazbaat hui

dil pe ek gham ki ghaTa chhai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuT ke barsat hui

kis ki parchhain paDi kaun idhar se guzra
itni rangin jo guzargah-e-KHayalat hui

un se ummid-e-mulaqat ke baad ai 'maKHmur'
muddaton tak na KHud apne se mulaqat hui