jab koi bhi KHaqan sar-e-baam na hoga
phir ahl-e-zamin par koi ilzam na hoga
kal wo hamein pahchan na pae sar-e-rahe
shayad unhen ab hum se koi kaam na hoga
phir kaun samajh paega asrar-e-haqiqat
jab faisla koi bhi sar-e-am na hoga
ye ahd-e-rawan KHak-nishan dhyan mein rakkho
phir DhunDoge kis ko jo koi nam na hoga
banne ko hai ek rose parindon ka muqaddar
utrenge to ham-rang-e-zamin dam na hoga
mahfil mein agar zikr ho arbab-e-wafa ka
aisa nahin 'rahat' ki tera nam na hoga
Ghazal
Jab koi bhi KHaqan sar-e-baam na hoga
Ameen Rahat Chugtai