jab koi aalam-e-shuhud na tha
main bhi ek KHwab tha wajud na tha
apni taKHliq se hua mahdud
warna main jaanta hudud na tha
mujh mein bhi lau thi aag thi pahle
mera sarmaya sirf dud na tha
jaane us ne mujhe KHarida kyun
main ziyan hi ziyan tha sud na tha
tarz-e-izhaar ne kiya maKHsus
KHas ashaar ka warud na tha
ek asiri yahan thi shart-e-shanaKHt
aur main banda-e-quyud na tha
tujh se rangini-e-jahan hai 'suhail'
pahle ye rang-e-hast-o-bud na tha

Ghazal
Jab koi aalam-e-shuhud na tha
Suhail Akhtar