jab kisi ne haal puchha ro diya
chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diya
dagh ho ya soz ho ya dard-o-gham
le liya KHush ho ke jis ne jo diya
ashk-rezi ke dhaDalle ne ghubar
jab zara bhi dil pe dekha dho diya
dil ki parwa tak nahin ai be-KHudi
kya kiya phenka kahan kis ko diya
kuchh na kuchh is anjuman mein hasb-e-haal
tu ne qassam-e-azal sab ko diya
kisht-e-duniya kya KHabar kya phal mile
tuKHm-e-gham hum ne to aa kar bo diya
ye bhi nasha mai-kasho kuchh kam nahin
de na de saqi pa tum samjho diya
'shad' ke aage bhala kya zikr-e-yar
nam idhar aaya ki us ne ro diya
zumra-e-ahl-e-qalam mein likh ke nam
KHud ko nahaq 'shad' tu ne kho diya
Ghazal
Jab kisi ne haal puchha ro diya
Shad Azimabadi