jab kabhi mere qadam su-e-chaman aae hain
apna dukh dard liye sarw o saman aae hain
panw se lag ke khaDi hai ye gharib-ul-watani
us ko samjhao ki hum apne watan aae hain
jhaD lo gard-e-musarrat ko biTha lo dil mein
bhule-bhaTke hue kuchh ranj o mehan aae hain
jab lahu roe hain barson to khuli zulf-e-KHayal
yun na is nag ko lahrane ke fan aae hain
kuchh ajab rang hai is aan tabiat ka 'naim'
kuchh ajab tarz ke is waqt suKHan aae hain
Ghazal
Jab kabhi mere qadam su-e-chaman aae hain
Hasan Nayeem