اردو हिंदी
Jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua | Shaahi Shayari
jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua

Ghazal

Jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua

Ajiz Matvi

;

jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua
aaina bhi rah gaya hairat se munh takta hua

fasl-e-gul mein hai shikast-o-reKHt ka aaina-dar
ek ek tinka nasheman ka mere bikhra hua

mahw-e-hairat hun KHarash-e-dast-e-gham ko dekh kar
zaKHm chehre par hain ya hai aaina TuTa hua

abr-e-gham barse to ashkon ki rawani dekhna
sahil-e-mizhgan pe hai tufan abhi Thahra hua

iKHtilaf-e-zehn-e-fitrat zindagani ka sarab
ishtirak-e-bahami hi maujib-e-dariya hua

jab main un se kah chuka apni hadis-e-ranj-o-gham
un ki shoKHi dekhiye kahne lage par kya hua

main samajh paya na 'ajiz' ye tilism-e-rahbar
har qadam par manzil-e-maqsud ka dhoka hua