اردو हिंदी
Jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua | Shaahi Shayari
jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua

Ghazal

Jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua

Jameela Khatoon Tasneem

;

jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua
us ghaDi sad-haif un ka KHair se aana hua

aap to hanste rahe hum ro ke ruswa ho gae
shama to chalti rahi pamal parwana hua

meri barbaadi ke charche sun ke kis kis naz se
puchhte hain muskura kar kaun diwana hua

dahr mein ab muskurane ki hamein fursat nahin
dil hujum-e-gham bana gham aah-e-afsana hua

tu na hota to zamin-o-asman kuchh bhi na tha
tere qadmon ki badaulat mera kashana hua

ai karam-farma tujhe ho ilm us ka ya na ho
kaun tujh mein kho ke aur phir KHud se begana hua

hum hi ek tanha nahin 'tasnim' mastane hue
un ki nazren kya uThin har rind mastana hua